Prabhat Ki Pratisha




Prabhat ki pratisha hai
Ek ujjwal pabhat ki jo
Khil uthe nav pallav sa
Ek Shital prabhat ki
jo saiyaam se ho bhara
Jagu mai aiesi kisi duniya 
ki sach mein mai
Shant rahu, saas lu 
Rahat ki teher kar
Jahan aietbar karna bhi 
Saral ho sugam ho
Jahan jo jaise ho
Waise ho, Nakab koi bhi nahi
Na jooth ki jaroorat ho
Na baaton se takaluf
Jahan wade bhi sacche ho
Aur baatein bas batein nahi
Jahan mai bhi khus rahu
Tum bhi magan
Aur hame ghurne wali
Koi aakhein nahi
Abhi sayad rajni ka saya hai
Abhi tumne hie deepak
bujhaya hai
Kab roshni degi dastak
Spashta ki iksha hai
Prabhat ki pratisha hai